Monday, 9 October 2017

Kaha tha meray hamdam nay Milein gay December mein - 2 line December Poetry

Kaha tha meray hamdam nay Milein gay December mein
Loat aao kay meri tarah December bhi thora reh gya ha
Kaha tha meray hamdam nay Milein gay December mein - 2 line December Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Kisi say koi bhi Shkwa na koi bhi shikayat ha - V Sad Poetry in Urdu

Kisi say koi bhi Shkwa na koi bhi shikayat ha
Jo Meray sath Chahat mein hua hona zarori tha
Kisi say koi bhi Shkwa na koi bhi shikayat ha -  V Sad Poetry in Urdu  2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari,

Jo taar say nikli ha wo Dhun sab nay suni ha - Sad Poetry in Urdu

Jo taar say nikli ha wo Dhun sab nay suni ha
Jo Saaz pay guzri ha wo kis ko pata ha
Jo taar say nikli ha wo Dhun sab nay suni ha - Sad Poetry in Urdu 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Izzat kay moti par agar aik baar bhi Mayl aa jaye

Izzat kay moti par agar aik baar bhi Mayl aa jaye
too Saynkaron daryaa bhi ussay dhoo nahi saktay
Izzat kay moti par agar aik baar bhi Mayl aa jaye

Saturday, 30 September 2017

Girtay hain samundar mein baray Shouq say Daryaa - 2 line Urdu Poetry

Girtay hain samundar mein baray Shouq say Daryaa
Lekin kisi darya mein Samundar nahi girta
Girtay hain samundar mein baray Shouq say Daryaa 2 line Urdu Poetry,


Gham e hasti ki ikk lambi dastaan ha - Sad Poetry in Urdu

Gham e hasti ki ikk lambi dastaan ha
Kaash wo samjhay "Sarmad" bhi Insaan ha
Gham e hasti ki ikk lambi dastaan ha - Sad Poetry in Urdu . 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari,

Dard e ishq bhi kya khoob say ha khoob tar - V Sad Poetry in Urdu

Dard e ishq bhi kya khoob say ha khoob tar
Jagaye too ye raat bhar Rulaye too ye umar bhar
Dard e ishq bhi kya khoob say ha khoob tar - V Sad Poetry in Urdu , 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Ishq Shayari, Dard Shayari,

Bohat say gham December mein december kay nahi hotay - December Poetry

Bohat say gham December mein december kay nahi hotay
Usay bhi june ka gham tha magar roya december mein
Bohat say gham December mein december kay nahi hotay - December Poetry ,  2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Bataa zra konsi bahaar lay kay aaya ha january - December Poetry

Bataa zra konsi bahaar lay kay aaya ha january
Tum too kehtay thay kay bohat veran ha December
Bataa zra konsi bahaar lay kay aaya ha january - December Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Ajeeb Dour ha har shakhs yehi sochta ha - Urdu Poetry

Ajeeb Dour ha har shakhs yehi sochta ha
Tmam shehar jalay aik mera ghar na jalay
Ajeeb Dour ha har shakhs yehi sochta ha Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Aj phir muskura kar usnay dekha mujhay - Sad Poetry in Urdu

Aj phir muskura kar usnay dekha mujhay
Aj phir zra ci baat pr jena parha mujhay
Aj phir muskura kar usnay dekha mujhay - Sad Poetry in Urdu 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Aaye gardish e ayaam mujhay Ranj bohat ha - V Sad Poetry in Urdu

Aaye gardish e ayaam mujhay Ranj bohat ha
Kuch Khuwab thay aesay jo bikharnay kay nahi thay
Aaye gardish e ayaam mujhay Ranj bohat ha - V Sad Poetry in Urdu 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari,

Aatay aatay aa gya Haadson par youn sabar - Sad Poetry in Urdu

Aatay aatay aa gya Haadson par youn sabar
Jesay Hum Pathar kay hon aur dil ko koi dukh na ho
Aatay aatay aa gya Haadson par youn sabar - Sad Poetry in Urdu 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,




Thursday, 28 September 2017

Chaloo ye maan letay hain - Sad Urdu Ghazal

Chaloo ye maan letay hain 


Kay teray aur meray darmayan Rishta nahi koi
Na too meray liye dil mein kasak mehsos karti ha
Na meray dil mein teray naam say toufan uthta ha
Na too baaton ko meri yaad kar kay hansti rehti ha
Na mein teri hansi kay wastay baatein bnata hon
Na too meray liye nazmon kay guldastay sajati ha
Na me teray liye lafzon kay moti chunta rehta hon
Na teray dil mein koi khouf ha kay hum juda hon gay
Na mein aglay jahan ki baat dil mein laya karta hon
Na meray haath mein teray liye tehreer ulfat ha
Na teray dil mein meray wastay koi muhabbat ha
Bhala ab aur apnay darmayan kesa ta'luq ho
Hamary darmayan too ajnabiyat bhi nahi baqi
Na too meray liye ajnabi ha na ashana sa ha
Na mein teray liye ik ajnabi hon na ashana sa hon
Hamary dil nahi maanein magar hum maan letay hein
Kay teray aur meray darmayan rishta nahi koi
Chalo hum maan letay hain


Sad Urdu Ghazal

Chaloo ye maan letay hain - Sad Urdu Ghazal  Ghazal, Sad Poetry,

Waqt hamesha aik jesa nahi rehta - Urdu Moral Story

Waqt hamesha aik jesa nahi rehta


Parinda jab zinda hota ha too chuntiyon ko khaata ha
Magar jab mar jata ha too wohi chuntiyan usay khaa jati hain

Aik Darakht aik laakh Machis ki teli bna skta ha Magar
Aik machis ki teli aik laakh darakht jalaa sakti ha

Insaan jab Zinda hota ha too mitti say Rizk leta ha ha magar
Jab marr jata ha too wohi mitti usay apna rizq bna deti ha

Urdu Moral Story

Waqt hamesha aik jesa nahi rehta - Urdu Moral Story , Urdu Moral story for childerens

Chandani gungunanay lagi kis liye - Romantic Urdu Poetry

Chandani gungunanay lagi kis liye 

Taaray aangan mein aanay lgay kis liye

Kis liye rang mehndi ka khilnay lga

Phool hum ko satanay lgay kis liye

Bss tumharay liye...

Bss tumharay liye...

Romantic Urdu Poetry

Chandani gungunanay lagi kis liye - Romantic Urdu Poetry Urdu Nazam, Ghazal, Romantic Poetry,

Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya - Sad Urdu Poetry

Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya

Udaas Aankhon mein thehra hua nam yaad aya

Manzile gham me jo phonchay too ye ehsas hua Zaid

Jiss ko chor aaye khushi mein wo Sanam yaad aya



Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya - Sad Urdu Poetry 4 line Urdu Poetry, Aankhen Shayari, Sad Poetry,

Sunday, 24 September 2017

Shehar bhar mein jis nay Ruswa kiya hamain Bewafa kay naam par - Bewafa shayari

Shehar bhar mein jis nay Ruswa kiya hamain Bewafa kay naam par 

Khud uska daaman Wafa say khaali tha

Bewafa shayari

Shehar bhar mein jis nay Ruswa kiya hamain Bewafa kay naam par - Bewafa shayari 2 line Urdu Poetry, Bewafa Shayari, Sad Poetry,

Sach kay rastay par chalnay ka ye faida hua - Sad Urdu Poetry

Sach kay rastay par chalnay ka ye faida hua

Kay rastay mein kahin bheer na thi

Sad Urdu Poetry

Sach kay rastay par chalnay ka ye faida hua - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Mout aa jaye Ghalib - Sad Urdu Poetry

Mout aa jaye Ghalib 

Dil na aaye kisi pay

Sad Urdu Poetry

Mout aa jaye Ghalib - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Mirza Ghalib, Dard Shayari,

Hum log Samundar kay bichray huay Sahil hein - Sad Urdu Poetry

Hum log Samundar kay bichray huay Sahil hein 

Iss paar bhi tanhai uss paar bhi tanhai

Sad Urdu Poetry

Hum log Samundar kay bichray huay Sahil hein - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Tuesday, 19 September 2017

Jo Apni baat say hum ko mukarna parh jaye | Wasi Shah - Sad Urdu Poetry

Jo Apni baat say hum ko mukarna parh jaye 

Too aesy jenay say behtar ha Marna parh jaye

Ye hijar aesay ha Jesay zakham zakham hn aur

Namak ki kaan say hum ko guzarna parh jaye

Kuch iss tarah say Wasi Zindagi guzari ha

Jo kaam aata nahi ho wo karna parh jaye

Wasi Shah 

Sad Urdu Poetry

Jo Apni baat say hum ko mukarna parh jaye | Wasi Shah - Sad Urdu Poetry Ghazal, Sad Poetry, Wasi Shah,

Monday, 18 September 2017

Aik Lafz Muhabbat ha usay kar kay dekho tum - Urdu Ghazal

Aik Lafz Muhabbat ha usay kar kay dekho tum 

Barbad na ho jao too mera naam badal dena

Aik lafz Muqadar ha uss say larr kay dekho tum

Haar na jao too mera naam badal dena

Aik lafz wafa ha jo duniya mein nahi milti

Kahin say agar mil jaye too mera naam badal dena

Aik lafz aanso ha ussay chupa kay dekho tum 

Aankhon say na beh jaye too mera naam badal dena

Aik lafz judai ha ussay seh kar dekho tum

Toot kar na bikhar jao too mera naam badal dena

Urdu Ghazal

Aik Lafz Muhabbat ha usay kar kay dekho tum - Urdu Ghazal Ghazal, Sad Poetry,

Kaaghaz pay nahin likhte kuch raaz muhabbat kay - Urdu Nazam

Kaaghaz pay nahin likhte kuch raaz muhabbat kay,

pal bhar mein bikhar jaaty hain alfaaz muhabbat ke.

Usay toot ke chaaha too hum khud hi bikhar gaye,

aise bhi badalte hain andaaz mohabbat ke.

Qasid se zara kehna unhen saath hi le aaye,

mujhe phir se sajaane hain kuch khwaab muhabbat ke.

Jeenay marny ki qasmen woh sada saath rehne ke waade,

kitne hi suhaane hote hain iqraar muhabbat ke.

Usey keh do ab toh laut aaye,,

arey ! tum bhi toh rakho kuch lihaaz muhabbat ke .!!

Saturday, 9 September 2017

Ishq ne dil mein jagah ki to qazaa bhii aaii - Ishq Shayari

Ishq ne dil mein jagah ki to qazaa bhii aaii 

dard duniyaa mein jab aayaa to davaa bhii aaii

dil ki hastii se kiya ishq ne aagaah mujhe 

dil jab aayaa to Dharakane kii sadaa bhii aaii

Ishq Shayari



Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum - Barish Poetry

Sirf Tum

Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum 

Tumhain hansana pasand ha mujhay hanstay huay tum

Tumhain baat karna pasand ha Mujhay boltay huay tum

Tumhain sab kuch pasand ha aur Mujhay sirf tum

Barish Poetry

Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum - Barish Poetry 4 line Urdu Poetry, Romantic Poetry, Barish Poetry,

Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi - Sad Urdu Poetry

Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi 

Teray bina zindagi bhi lekin zindagi too nahi

Sad Urdu Poetry

Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari,

Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain - Sad Urdu Poetry

Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain 

Jo too samjhay too moti hai jo na samjhay too pani hai

Sad Urdu Poetry

Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Aankhen Shayari, Aansu Shayari,

Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye - Ahmed Faraz

Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye 

Ab yehi dil tark e ta'luq kay bahanay mangay

Ahmed Faraz

Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye - Ahmed Faraz 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar - Sad Urdu Poetry

Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar 

Achay rehtay hain wohi Log jo muhabbat nahi kartay 

Sad Urdu Poetry

Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari,

Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka - Romantic Urdu Poetry

Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka

Jhonka koi takraye too lagta ha kay tum ho

Romantic Urdu Poetry

Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka - Romantic Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Romantic Poetry,


Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay - Sad Urdu Poetry

Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay 

Tum nay hum ko bhula diya hum na tumhain bhula sakay

 Sad Urdu Poetry

Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari, Aansu Shayari,

Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye - Sad Urdu Poetry

Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye

Soo rahy ho too jhootay ho jaag rahay ho too Pagal

Sad Urdu Poetry

Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay - Sad Urdu Poetry

Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay 

Kay Dil ki lagi bhi teray dil ko dil lagi na lagay

Too Roz uth kay Roya karay chand raaton mein

Khuda karay tera meray baghair jee na lagay

 Sad Urdu Poetry

Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay - Sad Urdu Poetry 4 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari,

Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay - Sad Urdu Poetry

Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay 

Tujhay too bss udaas honay ka bahaana chahiye

 Sad Urdu Poetry

Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Tuesday, 5 September 2017

Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan - Eid Poetry

Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan  

Apni palkon pay hargiz sitaray na layen gay

Rakhna sambhaal kay Chand khushiyan meray liye

Mein loat aaon ga too Eid manayn gay

Eid Poetry

Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan - Eid Poetry 4 line Urdu Poetry, EID Poetry, Romantic Poetry,

Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool - Eid Poetry

Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool  

Duniya kay sab gham tumhain jayen bhool

Chaaron taraf phaylao khushiyon kay geet

Issi umeed kay sath apko 

Eid Mubarik

Eid Poetry

Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool - Eid Poetry 4 line Urdu Poetry, Dua Poetry, EID Poetry,

Iss Eid par wo meray sath nahi - Eid Poetry

Iss Eid par wo meray sath nahi 

Magar wo uss ki yaadain uss ki baatain

Sab mujhay yaad hain 

uss nay bhi mujhay yaad kiya hoga

Phir meray khayalon mein khoye huay

Tasawar kay kisi lamhay mein

Dheeray say kaha hoga 

Eid Mubarik

 Eid Poetry

Iss Eid par wo meray sath nahi - Eid Poetry Romantic Poetry, EID Poetry, Ghazal,

Friday, 1 September 2017

Mein uss roz manaon ga Eid - Eid Poetry

Mein uss roz manaon ga Eid  

Khatam jis roz ye judai hogi

Eid Poetry

Mein uss roz manaon ga Eid - Eid Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, EID Poetry,

Tumharay baghair eid guzray gi - Eid Poetry

Tumharay baghair eid guzray gi 

Had ha yaar judai ki

Eid Poetry


Talkhiyan chubhnay lagin jab zeast kay paimanay mein - Eid Poetry

Talkhiyan chubhnay lagin jab zeast kay paimanay mein 

Dard kay maaron nay ghool kay piya Eid ka Chand

Eid Poetry

Talkhiyan chubhnay lagin jab zeast kay paimanay mein  Dard kay maaron nay ghool kay piya Eid ka Chand Eid Poetry 2 line Urdu Poetry, Dard Shayari, Sad Poetry, EID Poetry,