Girtay hain samundar mein baray Shouq say Daryaa
Lekin kisi darya mein Samundar nahi girta
Saturday, 30 September 2017
Bohat say gham December mein december kay nahi hotay - December Poetry
Bohat say gham December mein december kay nahi hotay
Usay bhi june ka gham tha magar roya december mein
Usay bhi june ka gham tha magar roya december mein
Thursday, 28 September 2017
Chaloo ye maan letay hain - Sad Urdu Ghazal
Chaloo ye maan letay hain
Kay teray aur meray darmayan Rishta nahi koi
Na too meray liye dil mein kasak mehsos karti ha
Na meray dil mein teray naam say toufan uthta ha
Na too baaton ko meri yaad kar kay hansti rehti ha
Na mein teri hansi kay wastay baatein bnata hon
Na too meray liye nazmon kay guldastay sajati ha
Na me teray liye lafzon kay moti chunta rehta hon
Na teray dil mein koi khouf ha kay hum juda hon gay
Na mein aglay jahan ki baat dil mein laya karta hon
Na meray haath mein teray liye tehreer ulfat ha
Na teray dil mein meray wastay koi muhabbat ha
Bhala ab aur apnay darmayan kesa ta'luq ho
Hamary darmayan too ajnabiyat bhi nahi baqi
Na too meray liye ajnabi ha na ashana sa ha
Na mein teray liye ik ajnabi hon na ashana sa hon
Hamary dil nahi maanein magar hum maan letay hein
Kay teray aur meray darmayan rishta nahi koi
Chalo hum maan letay hain
Sad Urdu Ghazal
Waqt hamesha aik jesa nahi rehta - Urdu Moral Story
Waqt hamesha aik jesa nahi rehta
Parinda jab zinda hota ha too chuntiyon ko khaata ha
Magar jab mar jata ha too wohi chuntiyan usay khaa jati hain
Aik Darakht aik laakh Machis ki teli bna skta ha Magar
Aik machis ki teli aik laakh darakht jalaa sakti ha
Insaan jab Zinda hota ha too mitti say Rizk leta ha ha magar
Jab marr jata ha too wohi mitti usay apna rizq bna deti ha
Urdu Moral Story
Chandani gungunanay lagi kis liye - Romantic Urdu Poetry
Chandani gungunanay lagi kis liye
Taaray aangan mein aanay lgay kis liye
Kis liye rang mehndi ka khilnay lga
Phool hum ko satanay lgay kis liye
Bss tumharay liye...
Bss tumharay liye...
Romantic Urdu Poetry
Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya - Sad Urdu Poetry
Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya
Udaas Aankhon mein thehra hua nam yaad aya
Manzile gham me jo phonchay too ye ehsas hua Zaid
Jiss ko chor aaye khushi mein wo Sanam yaad aya
Wednesday, 27 September 2017
Kisi ki ghaltiyon ko be naqaab na karo
Kisi ki ghaltiyon ko be naqaab na karo
Khuda betha ha tum hisab na karo
Uski Yaadon Ko Bhool Janey Tak - Sad Urdu Poetry
Uski Yaadon Ko Bhool Janey Tak
Maar Daaley Ga Uska Yaad Aana ....
Abi Umeed Baaqi Hai Kay Wo Bichra Huwa Sathi - Very Sad Urdu Poetry
Abi Umeed Baaqi Hai Kay Wo Bichra Huwa Sathi
Kisi Bhi Mor Pe Mill Kar Hume Hairaan Kar Dey Ga...!
Sunday, 24 September 2017
Shehar bhar mein jis nay Ruswa kiya hamain Bewafa kay naam par - Bewafa shayari
Shehar bhar mein jis nay Ruswa kiya hamain Bewafa kay naam par
Khud uska daaman Wafa say khaali tha
Bewafa shayari
Hum log Samundar kay bichray huay Sahil hein - Sad Urdu Poetry
Hum log Samundar kay bichray huay Sahil hein
Iss paar bhi tanhai uss paar bhi tanhai
Sad Urdu Poetry
Tuesday, 19 September 2017
Jo Apni baat say hum ko mukarna parh jaye | Wasi Shah - Sad Urdu Poetry
Jo Apni baat say hum ko mukarna parh jaye
Too aesy jenay say behtar ha Marna parh jaye
Ye hijar aesay ha Jesay zakham zakham hn aur
Namak ki kaan say hum ko guzarna parh jaye
Kuch iss tarah say Wasi Zindagi guzari ha
Jo kaam aata nahi ho wo karna parh jaye
Wasi Shah
Sad Urdu Poetry
Monday, 18 September 2017
Aik Lafz Muhabbat ha usay kar kay dekho tum - Urdu Ghazal
Aik Lafz Muhabbat ha usay kar kay dekho tum
Barbad na ho jao too mera naam badal dena
Aik lafz Muqadar ha uss say larr kay dekho tum
Haar na jao too mera naam badal dena
Aik lafz wafa ha jo duniya mein nahi milti
Kahin say agar mil jaye too mera naam badal dena
Aik lafz aanso ha ussay chupa kay dekho tum
Aankhon say na beh jaye too mera naam badal dena
Aik lafz judai ha ussay seh kar dekho tum
Toot kar na bikhar jao too mera naam badal dena
Urdu Ghazal
Kaaghaz pay nahin likhte kuch raaz muhabbat kay - Urdu Nazam
Kaaghaz pay nahin likhte kuch raaz muhabbat kay,
pal bhar mein bikhar jaaty hain alfaaz muhabbat ke.
Usay toot ke chaaha too hum khud hi bikhar gaye,
aise bhi badalte hain andaaz mohabbat ke.
Qasid se zara kehna unhen saath hi le aaye,
mujhe phir se sajaane hain kuch khwaab muhabbat ke.
Jeenay marny ki qasmen woh sada saath rehne ke waade,
kitne hi suhaane hote hain iqraar muhabbat ke.
Usey keh do ab toh laut aaye,,
arey ! tum bhi toh rakho kuch lihaaz muhabbat ke .!!
Saturday, 9 September 2017
Ishq ne dil mein jagah ki to qazaa bhii aaii - Ishq Shayari
Ishq ne dil mein jagah ki to qazaa bhii aaii
dard duniyaa mein jab aayaa to davaa bhii aaii
dil ki hastii se kiya ishq ne aagaah mujhe
dil jab aayaa to Dharakane kii sadaa bhii aaii
Ishq Shayari
Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum - Barish Poetry
Sirf Tum
Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum
Tumhain hansana pasand ha mujhay hanstay huay tum
Tumhain baat karna pasand ha Mujhay boltay huay tum
Tumhain sab kuch pasand ha aur Mujhay sirf tum
Barish Poetry
Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi - Sad Urdu Poetry
Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi
Teray bina zindagi bhi lekin zindagi too nahi
Sad Urdu Poetry
Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain - Sad Urdu Poetry
Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain
Jo too samjhay too moti hai jo na samjhay too pani hai
Sad Urdu Poetry
Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye - Ahmed Faraz
Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye
Ab yehi dil tark e ta'luq kay bahanay mangay
Ahmed Faraz
Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar - Sad Urdu Poetry
Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar
Achay rehtay hain wohi Log jo muhabbat nahi kartay
Sad Urdu Poetry
Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka - Romantic Urdu Poetry
Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka
Jhonka koi takraye too lagta ha kay tum ho
Romantic Urdu Poetry
Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay - Sad Urdu Poetry
Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay
Tum nay hum ko bhula diya hum na tumhain bhula sakay
Sad Urdu Poetry
Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye - Sad Urdu Poetry
Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye
Soo rahy ho too jhootay ho jaag rahay ho too Pagal
Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay - Sad Urdu Poetry
Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay
Kay Dil ki lagi bhi teray dil ko dil lagi na lagay
Too Roz uth kay Roya karay chand raaton mein
Khuda karay tera meray baghair jee na lagay
Sad Urdu Poetry
Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay - Sad Urdu Poetry
Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay
Tujhay too bss udaas honay ka bahaana chahiye
Sad Urdu Poetry
Tuesday, 5 September 2017
Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan - Eid Poetry
Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan
Apni palkon pay hargiz sitaray na layen gay
Rakhna sambhaal kay Chand khushiyan meray liye
Mein loat aaon ga too Eid manayn gay
Eid Poetry
Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool - Eid Poetry
Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool
Duniya kay sab gham tumhain jayen bhool
Chaaron taraf phaylao khushiyon kay geet
Issi umeed kay sath apko
Eid Mubarik
Eid Poetry
Iss Eid par wo meray sath nahi - Eid Poetry
Iss Eid par wo meray sath nahi
Magar wo uss ki yaadain uss ki baatain
Sab mujhay yaad hain
uss nay bhi mujhay yaad kiya hoga
Phir meray khayalon mein khoye huay
Tasawar kay kisi lamhay mein
Dheeray say kaha hoga
Eid Mubarik
Eid Poetry
Friday, 1 September 2017
Talkhiyan chubhnay lagin jab zeast kay paimanay mein - Eid Poetry
Talkhiyan chubhnay lagin jab zeast kay paimanay mein
Dard kay maaron nay ghool kay piya Eid ka Chand
Eid Poetry
Teri deed ka intezar duniya ko bss eid kay liye ha - Eid Poetry
Teri deed ka intezar duniya ko bss eid kay liye ha
Kisi aur gumaan mein na rehna aaye Chand iss Dil ki tarah
Eid Poetry
Udhar sy chaand tum daikho idher sy chand hum daikhain - Eid Poetry
Udhar sy chaand tum daikho idher sy chand hum daikhain
Nigahain youn takrain kay Do Dilon ki Eid ho jaye
Eid Poetry
Tumharay chaand say chehray ki agar deed ho jaye - Eid Poetry
Tumharay chaand say chehray ki agar deed ho jaye
Kasam ha apni Aankhon ki Hamari Eid Ho jaye
Eid Poetry
Chaand nikla too mein logon say lipat lipat kar roya - Eid Poetry
Chaand nikla too mein logon say lipat lipat kar roya
Gham kay Aanso thay jo khushiyon kay bahanay niklay
Eid Poetry
Subscribe to:
Posts (Atom)