Saturday, 9 September 2017
Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum - Barish Poetry
Sirf Tum
Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum
Tumhain hansana pasand ha mujhay hanstay huay tum
Tumhain baat karna pasand ha Mujhay boltay huay tum
Tumhain sab kuch pasand ha aur Mujhay sirf tum
Barish Poetry
Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi - Sad Urdu Poetry
Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi
Teray bina zindagi bhi lekin zindagi too nahi
Sad Urdu Poetry
Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain - Sad Urdu Poetry
Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain
Jo too samjhay too moti hai jo na samjhay too pani hai
Sad Urdu Poetry
Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye - Ahmed Faraz
Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye
Ab yehi dil tark e ta'luq kay bahanay mangay
Ahmed Faraz
Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar - Sad Urdu Poetry
Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar
Achay rehtay hain wohi Log jo muhabbat nahi kartay
Sad Urdu Poetry
Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka - Romantic Urdu Poetry
Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka
Jhonka koi takraye too lagta ha kay tum ho
Romantic Urdu Poetry
Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay - Sad Urdu Poetry
Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay
Tum nay hum ko bhula diya hum na tumhain bhula sakay
Sad Urdu Poetry
Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye - Sad Urdu Poetry
Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye
Soo rahy ho too jhootay ho jaag rahay ho too Pagal
Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay - Sad Urdu Poetry
Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay
Kay Dil ki lagi bhi teray dil ko dil lagi na lagay
Too Roz uth kay Roya karay chand raaton mein
Khuda karay tera meray baghair jee na lagay
Sad Urdu Poetry
Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay - Sad Urdu Poetry
Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay
Tujhay too bss udaas honay ka bahaana chahiye
Sad Urdu Poetry
Tuesday, 5 September 2017
Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan - Eid Poetry
Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan
Apni palkon pay hargiz sitaray na layen gay
Rakhna sambhaal kay Chand khushiyan meray liye
Mein loat aaon ga too Eid manayn gay
Eid Poetry
Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool - Eid Poetry
Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool
Duniya kay sab gham tumhain jayen bhool
Chaaron taraf phaylao khushiyon kay geet
Issi umeed kay sath apko
Eid Mubarik
Eid Poetry
Iss Eid par wo meray sath nahi - Eid Poetry
Iss Eid par wo meray sath nahi
Magar wo uss ki yaadain uss ki baatain
Sab mujhay yaad hain
uss nay bhi mujhay yaad kiya hoga
Phir meray khayalon mein khoye huay
Tasawar kay kisi lamhay mein
Dheeray say kaha hoga
Eid Mubarik
Eid Poetry
Friday, 1 September 2017
Subscribe to:
Posts (Atom)