Monday, 18 September 2017

Kaaghaz pay nahin likhte kuch raaz muhabbat kay - Urdu Nazam

Kaaghaz pay nahin likhte kuch raaz muhabbat kay,

pal bhar mein bikhar jaaty hain alfaaz muhabbat ke.

Usay toot ke chaaha too hum khud hi bikhar gaye,

aise bhi badalte hain andaaz mohabbat ke.

Qasid se zara kehna unhen saath hi le aaye,

mujhe phir se sajaane hain kuch khwaab muhabbat ke.

Jeenay marny ki qasmen woh sada saath rehne ke waade,

kitne hi suhaane hote hain iqraar muhabbat ke.

Usey keh do ab toh laut aaye,,

arey ! tum bhi toh rakho kuch lihaaz muhabbat ke .!!

Saturday, 9 September 2017

Ishq ne dil mein jagah ki to qazaa bhii aaii - Ishq Shayari

Ishq ne dil mein jagah ki to qazaa bhii aaii 

dard duniyaa mein jab aayaa to davaa bhii aaii

dil ki hastii se kiya ishq ne aagaah mujhe 

dil jab aayaa to Dharakane kii sadaa bhii aaii

Ishq Shayari



Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum - Barish Poetry

Sirf Tum

Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum 

Tumhain hansana pasand ha mujhay hanstay huay tum

Tumhain baat karna pasand ha Mujhay boltay huay tum

Tumhain sab kuch pasand ha aur Mujhay sirf tum

Barish Poetry

Tumhain Barish pasand hai Mujhay Barish mein tum - Barish Poetry 4 line Urdu Poetry, Romantic Poetry, Barish Poetry,

Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi - Sad Urdu Poetry

Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi 

Teray bina zindagi bhi lekin zindagi too nahi

Sad Urdu Poetry

Teray bina zindagi say koi shikwa too nahi - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari,

Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain - Sad Urdu Poetry

Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain 

Jo too samjhay too moti hai jo na samjhay too pani hai

Sad Urdu Poetry

Yahan Sab Log Kehty Hain Meri Aankhon Me Aanso Hain - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Aankhen Shayari, Aansu Shayari,

Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye - Ahmed Faraz

Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye 

Ab yehi dil tark e ta'luq kay bahanay mangay

Ahmed Faraz

Yehi Dil Tha kay tarasta tha marasim kay liye - Ahmed Faraz 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar - Sad Urdu Poetry

Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar 

Achay rehtay hain wohi Log jo muhabbat nahi kartay 

Sad Urdu Poetry

Zoaq e deed mein ha takleef har roz sara sar - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari,

Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka - Romantic Urdu Poetry

Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka

Jhonka koi takraye too lagta ha kay tum ho

Romantic Urdu Poetry

Sandal say mehakti hui pur kaif hawa ka - Romantic Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Romantic Poetry,


Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay - Sad Urdu Poetry

Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay 

Tum nay hum ko bhula diya hum na tumhain bhula sakay

 Sad Urdu Poetry

Hum he mein na thi koi baat yaad na tum ko aa sakay - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari, Aansu Shayari,

Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye - Sad Urdu Poetry

Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye

Soo rahy ho too jhootay ho jaag rahay ho too Pagal

Sad Urdu Poetry

Gham ki chadar oorh kay aur mann mein yaar kay sapnay liye - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay - Sad Urdu Poetry

Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay 

Kay Dil ki lagi bhi teray dil ko dil lagi na lagay

Too Roz uth kay Roya karay chand raaton mein

Khuda karay tera meray baghair jee na lagay

 Sad Urdu Poetry

Koi hansay too tujhay gham lagay hansi na lagay - Sad Urdu Poetry 4 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Dard Shayari,

Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay - Sad Urdu Poetry

Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay 

Tujhay too bss udaas honay ka bahaana chahiye

 Sad Urdu Poetry

Aaye dil koi majbouri hogi wo yaad nahi kartay - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Tuesday, 5 September 2017

Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan - Eid Poetry

Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan  

Apni palkon pay hargiz sitaray na layen gay

Rakhna sambhaal kay Chand khushiyan meray liye

Mein loat aaon ga too Eid manayn gay

Eid Poetry

Khushiyon Ki Shaam Aur Yaadon Ka Ye Samaan - Eid Poetry 4 line Urdu Poetry, EID Poetry, Romantic Poetry,

Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool - Eid Poetry

Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool  

Duniya kay sab gham tumhain jayen bhool

Chaaron taraf phaylao khushiyon kay geet

Issi umeed kay sath apko 

Eid Mubarik

Eid Poetry

Sadaa hanstay raho jaisay hanstay hain phool - Eid Poetry 4 line Urdu Poetry, Dua Poetry, EID Poetry,

Iss Eid par wo meray sath nahi - Eid Poetry

Iss Eid par wo meray sath nahi 

Magar wo uss ki yaadain uss ki baatain

Sab mujhay yaad hain 

uss nay bhi mujhay yaad kiya hoga

Phir meray khayalon mein khoye huay

Tasawar kay kisi lamhay mein

Dheeray say kaha hoga 

Eid Mubarik

 Eid Poetry

Iss Eid par wo meray sath nahi - Eid Poetry Romantic Poetry, EID Poetry, Ghazal,