Thursday, 28 September 2017

Chaloo ye maan letay hain - Sad Urdu Ghazal

Chaloo ye maan letay hain 


Kay teray aur meray darmayan Rishta nahi koi
Na too meray liye dil mein kasak mehsos karti ha
Na meray dil mein teray naam say toufan uthta ha
Na too baaton ko meri yaad kar kay hansti rehti ha
Na mein teri hansi kay wastay baatein bnata hon
Na too meray liye nazmon kay guldastay sajati ha
Na me teray liye lafzon kay moti chunta rehta hon
Na teray dil mein koi khouf ha kay hum juda hon gay
Na mein aglay jahan ki baat dil mein laya karta hon
Na meray haath mein teray liye tehreer ulfat ha
Na teray dil mein meray wastay koi muhabbat ha
Bhala ab aur apnay darmayan kesa ta'luq ho
Hamary darmayan too ajnabiyat bhi nahi baqi
Na too meray liye ajnabi ha na ashana sa ha
Na mein teray liye ik ajnabi hon na ashana sa hon
Hamary dil nahi maanein magar hum maan letay hein
Kay teray aur meray darmayan rishta nahi koi
Chalo hum maan letay hain


Sad Urdu Ghazal

Chaloo ye maan letay hain - Sad Urdu Ghazal  Ghazal, Sad Poetry,

Waqt hamesha aik jesa nahi rehta - Urdu Moral Story

Waqt hamesha aik jesa nahi rehta


Parinda jab zinda hota ha too chuntiyon ko khaata ha
Magar jab mar jata ha too wohi chuntiyan usay khaa jati hain

Aik Darakht aik laakh Machis ki teli bna skta ha Magar
Aik machis ki teli aik laakh darakht jalaa sakti ha

Insaan jab Zinda hota ha too mitti say Rizk leta ha ha magar
Jab marr jata ha too wohi mitti usay apna rizq bna deti ha

Urdu Moral Story

Waqt hamesha aik jesa nahi rehta - Urdu Moral Story , Urdu Moral story for childerens

Chandani gungunanay lagi kis liye - Romantic Urdu Poetry

Chandani gungunanay lagi kis liye 

Taaray aangan mein aanay lgay kis liye

Kis liye rang mehndi ka khilnay lga

Phool hum ko satanay lgay kis liye

Bss tumharay liye...

Bss tumharay liye...

Romantic Urdu Poetry

Chandani gungunanay lagi kis liye - Romantic Urdu Poetry Urdu Nazam, Ghazal, Romantic Poetry,

Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya - Sad Urdu Poetry

Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya

Udaas Aankhon mein thehra hua nam yaad aya

Manzile gham me jo phonchay too ye ehsas hua Zaid

Jiss ko chor aaye khushi mein wo Sanam yaad aya



Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya - Sad Urdu Poetry 4 line Urdu Poetry, Aankhen Shayari, Sad Poetry,

Sunday, 24 September 2017

Shehar bhar mein jis nay Ruswa kiya hamain Bewafa kay naam par - Bewafa shayari

Shehar bhar mein jis nay Ruswa kiya hamain Bewafa kay naam par 

Khud uska daaman Wafa say khaali tha

Bewafa shayari

Shehar bhar mein jis nay Ruswa kiya hamain Bewafa kay naam par - Bewafa shayari 2 line Urdu Poetry, Bewafa Shayari, Sad Poetry,

Sach kay rastay par chalnay ka ye faida hua - Sad Urdu Poetry

Sach kay rastay par chalnay ka ye faida hua

Kay rastay mein kahin bheer na thi

Sad Urdu Poetry

Sach kay rastay par chalnay ka ye faida hua - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Mout aa jaye Ghalib - Sad Urdu Poetry

Mout aa jaye Ghalib 

Dil na aaye kisi pay

Sad Urdu Poetry

Mout aa jaye Ghalib - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry, Mirza Ghalib, Dard Shayari,

Hum log Samundar kay bichray huay Sahil hein - Sad Urdu Poetry

Hum log Samundar kay bichray huay Sahil hein 

Iss paar bhi tanhai uss paar bhi tanhai

Sad Urdu Poetry

Hum log Samundar kay bichray huay Sahil hein - Sad Urdu Poetry 2 line Urdu Poetry, Sad Poetry,

Tuesday, 19 September 2017

Jo Apni baat say hum ko mukarna parh jaye | Wasi Shah - Sad Urdu Poetry

Jo Apni baat say hum ko mukarna parh jaye 

Too aesy jenay say behtar ha Marna parh jaye

Ye hijar aesay ha Jesay zakham zakham hn aur

Namak ki kaan say hum ko guzarna parh jaye

Kuch iss tarah say Wasi Zindagi guzari ha

Jo kaam aata nahi ho wo karna parh jaye

Wasi Shah 

Sad Urdu Poetry

Jo Apni baat say hum ko mukarna parh jaye | Wasi Shah - Sad Urdu Poetry Ghazal, Sad Poetry, Wasi Shah,

Monday, 18 September 2017

Aik Lafz Muhabbat ha usay kar kay dekho tum - Urdu Ghazal

Aik Lafz Muhabbat ha usay kar kay dekho tum 

Barbad na ho jao too mera naam badal dena

Aik lafz Muqadar ha uss say larr kay dekho tum

Haar na jao too mera naam badal dena

Aik lafz wafa ha jo duniya mein nahi milti

Kahin say agar mil jaye too mera naam badal dena

Aik lafz aanso ha ussay chupa kay dekho tum 

Aankhon say na beh jaye too mera naam badal dena

Aik lafz judai ha ussay seh kar dekho tum

Toot kar na bikhar jao too mera naam badal dena

Urdu Ghazal

Aik Lafz Muhabbat ha usay kar kay dekho tum - Urdu Ghazal Ghazal, Sad Poetry,

Kaaghaz pay nahin likhte kuch raaz muhabbat kay - Urdu Nazam

Kaaghaz pay nahin likhte kuch raaz muhabbat kay,

pal bhar mein bikhar jaaty hain alfaaz muhabbat ke.

Usay toot ke chaaha too hum khud hi bikhar gaye,

aise bhi badalte hain andaaz mohabbat ke.

Qasid se zara kehna unhen saath hi le aaye,

mujhe phir se sajaane hain kuch khwaab muhabbat ke.

Jeenay marny ki qasmen woh sada saath rehne ke waade,

kitne hi suhaane hote hain iqraar muhabbat ke.

Usey keh do ab toh laut aaye,,

arey ! tum bhi toh rakho kuch lihaaz muhabbat ke .!!