Saturday 30 September 2017

Thursday 28 September 2017

Chaloo ye maan letay hain - Sad Urdu Ghazal

Chaloo ye maan letay hain 


Kay teray aur meray darmayan Rishta nahi koi
Na too meray liye dil mein kasak mehsos karti ha
Na meray dil mein teray naam say toufan uthta ha
Na too baaton ko meri yaad kar kay hansti rehti ha
Na mein teri hansi kay wastay baatein bnata hon
Na too meray liye nazmon kay guldastay sajati ha
Na me teray liye lafzon kay moti chunta rehta hon
Na teray dil mein koi khouf ha kay hum juda hon gay
Na mein aglay jahan ki baat dil mein laya karta hon
Na meray haath mein teray liye tehreer ulfat ha
Na teray dil mein meray wastay koi muhabbat ha
Bhala ab aur apnay darmayan kesa ta'luq ho
Hamary darmayan too ajnabiyat bhi nahi baqi
Na too meray liye ajnabi ha na ashana sa ha
Na mein teray liye ik ajnabi hon na ashana sa hon
Hamary dil nahi maanein magar hum maan letay hein
Kay teray aur meray darmayan rishta nahi koi
Chalo hum maan letay hain


Sad Urdu Ghazal

Chaloo ye maan letay hain - Sad Urdu Ghazal  Ghazal, Sad Poetry,

Waqt hamesha aik jesa nahi rehta - Urdu Moral Story

Waqt hamesha aik jesa nahi rehta


Parinda jab zinda hota ha too chuntiyon ko khaata ha
Magar jab mar jata ha too wohi chuntiyan usay khaa jati hain

Aik Darakht aik laakh Machis ki teli bna skta ha Magar
Aik machis ki teli aik laakh darakht jalaa sakti ha

Insaan jab Zinda hota ha too mitti say Rizk leta ha ha magar
Jab marr jata ha too wohi mitti usay apna rizq bna deti ha

Urdu Moral Story

Waqt hamesha aik jesa nahi rehta - Urdu Moral Story , Urdu Moral story for childerens

Chandani gungunanay lagi kis liye - Romantic Urdu Poetry

Chandani gungunanay lagi kis liye 

Taaray aangan mein aanay lgay kis liye

Kis liye rang mehndi ka khilnay lga

Phool hum ko satanay lgay kis liye

Bss tumharay liye...

Bss tumharay liye...

Romantic Urdu Poetry

Chandani gungunanay lagi kis liye - Romantic Urdu Poetry Urdu Nazam, Ghazal, Romantic Poetry,

Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya - Sad Urdu Poetry

Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya

Udaas Aankhon mein thehra hua nam yaad aya

Manzile gham me jo phonchay too ye ehsas hua Zaid

Jiss ko chor aaye khushi mein wo Sanam yaad aya



Shab e tanhai mein har chehra Gham yaad aaya - Sad Urdu Poetry 4 line Urdu Poetry, Aankhen Shayari, Sad Poetry,

Sunday 24 September 2017