Ishq daay apnay wakhray Mousam
Garam December thanda June
Wednesday, 4 October 2017
Hum kyun chalein uss rah par jiss rah par sab he chalein - Urdu Poetry Lovers
Saturday, 30 September 2017
Bohat say gham December mein december kay nahi hotay - December Poetry
Bohat say gham December mein december kay nahi hotay
Usay bhi june ka gham tha magar roya december mein
Usay bhi june ka gham tha magar roya december mein
Thursday, 28 September 2017
Chaloo ye maan letay hain - Sad Urdu Ghazal
Chaloo ye maan letay hain
Kay teray aur meray darmayan Rishta nahi koi
Na too meray liye dil mein kasak mehsos karti ha
Na meray dil mein teray naam say toufan uthta ha
Na too baaton ko meri yaad kar kay hansti rehti ha
Na mein teri hansi kay wastay baatein bnata hon
Na too meray liye nazmon kay guldastay sajati ha
Na me teray liye lafzon kay moti chunta rehta hon
Na teray dil mein koi khouf ha kay hum juda hon gay
Na mein aglay jahan ki baat dil mein laya karta hon
Na meray haath mein teray liye tehreer ulfat ha
Na teray dil mein meray wastay koi muhabbat ha
Bhala ab aur apnay darmayan kesa ta'luq ho
Hamary darmayan too ajnabiyat bhi nahi baqi
Na too meray liye ajnabi ha na ashana sa ha
Na mein teray liye ik ajnabi hon na ashana sa hon
Hamary dil nahi maanein magar hum maan letay hein
Kay teray aur meray darmayan rishta nahi koi
Chalo hum maan letay hain
Sad Urdu Ghazal
Waqt hamesha aik jesa nahi rehta - Urdu Moral Story
Waqt hamesha aik jesa nahi rehta
Parinda jab zinda hota ha too chuntiyon ko khaata ha
Magar jab mar jata ha too wohi chuntiyan usay khaa jati hain
Aik Darakht aik laakh Machis ki teli bna skta ha Magar
Aik machis ki teli aik laakh darakht jalaa sakti ha
Insaan jab Zinda hota ha too mitti say Rizk leta ha ha magar
Jab marr jata ha too wohi mitti usay apna rizq bna deti ha
Urdu Moral Story
Subscribe to:
Posts (Atom)