Thursday 24 August 2017

Jab jab dard ka baadal chaya - Urdu Poetry Lovers

Jab jab dard ka baadal chaya

Jab ghum ka saya lehraya

Jab aansoo palkon tak aya

Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya

Dil aakhir tu kyun rota hai

Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain

Waqt ne sabko hi baante hain

Thoda ghum hai sabka qissa

Thodi dhoop hai sabka hissa

Aankh teri bekaar hi nam hai

Har pal ek naya mausam hai

Kyun tu aise pal khota hai

Dil aakhir tu kyun rota hai

Urdu Poetry Lovers